Wednesday, August 24, 2011

TASVEER NAHIN IN AANKHON MEIN

WO ALFAAZ TO NAHIN AB PASS MAGAR
USKE KEHNE KA MUNFARID ANDAAZ TO HAI
HAAN TASVEER NAHIN IN AANKHON MEIN
PER KAANO MEIN GOONJTI AAWAAZ TO HAI

MEIN JO POOCHTA THA AKSAR, US SE APNE AAP KO
WO KERDETA HAQEEQAT MERE HER DEKHEY KHWAAB KO
AUR BATA DETA MUJH KO MERE HI DIL KI BAATEIN
KE YE DUNIYA TO HAI AAM BOHUT
PER TERA WAJOOD IS MEIN KHAAS TO HAI

HAAN TASVEER NAHIN IN AANKHON MEIN
PER KAANO MEIN GOONJTI AAWAAZ TO HAI



USNE DIKHAYA MUJHE KE BANDAGI KYA HOTI HAI
MERA HO KER BATAYA KE ZINDAGI KYA HOTI HAI
MEIN NE US SE KAHA
KE KAHAN HAI TU ZINDAGI
TO USNE CHUPKE SE KAHA
KE TERE PAAS TO HAI
OJAL TO HOON TERI NAZRON SE PER
TERI DHADKAN MEIN MERA EHSAAS TO HAI

HAAN TASVEER NAHIN IN AANKHON MEIN
PER KAANO MEIN GOONJTI AAWAAZ TO HAI



WO ZAHIR HAI AAJ HER NAQSH MEIN
AUR WAJAH HAI AAJ HER AKSS MEIN
JO HASTA HAI AAJ MUJHE DEKH KER
WO DIKHTA HAI BUS US SHAKS MEIN

MEINE POOCHA KE KIA MEIN HAQEEQAT NAHIN TERI
USNE KAHA KE TU BEBASI KA HASEEN RAAZ TO HAI

MERI QISMAT SE TERA JHAGRA NAHIN
PER TAQDEER SE YE ILTIMAAS TO HAI

OJAL TO HOON TERI NAZRON SE PER
TERI DHARKAN MEIN MERA EHSAAS TO HAI


HAAN TASVEER NAHIN IN AANKHON MEIN
PER KAANO MEIN GOONJTI AAWAAZ TO HAI!!!!

1 comment:

sarkar said...

such a nice shayri Tasveer nahin in Aankho Mein
i like it........
its amazing